Phatte honton ka ilaj in Urdu
Phatte honton ka ilaj in Urdu.
Aam tor pay lips stomach(maidy) ki kharabi ki waja se phatt jate hain. stomach main heat ziada ho ya bar bar zuban lips pay lagai jae to lips phatt jate hain. Honton ka khubsorat hona zrori hota hai. Lips beauty main bohat important kirdar adaa krte hain. Larki beautiful lagey is k lye zrori hota hai k us k lips b beautiful hon. is k lye chand totke ye hain.
- Agr stomach main heat ka problem ho to chilka ispgool 1 tola sharbat e sandall main mila k daily nihar munh piyen.
- Honey (shehad) or lemon juice k chand katre (few drops) mila k rakh lain or daily lips pay lagane se faida ho ga.
- Fresh orange ka baironi hissa (part) lips pay mallen.
- Aanaar khane se lips phattna band ho jate hain.
- Daily raat ko milk main zafraan mila k peene se lips beautiful hote hain.
Sardiyon main honton ki hifazat k asan tarike
- Rogan e badam (almond oil) shehad (honey) mila kr daily lips pay lagaen.
- dhood (milk) ki balai main few drops lemon juice mila k daily lips pay lagaen.
- shehad or zaiton ka oil mila k honton pay lagaen.
- Rose water (arq e gulab) main galaisrin mila k lagaen.
- Fresh milk ki jaag ko lips pay malne se hont gulab ki tarha red ho jaen gay.
- lip stick lagane se pehle lips pay almond oil ya koi cold cream lagaen phir tissue ko lips main dabaen.
- lips ko khushki or phattne se bachane k lye daily raat ko galaisrin lips pay lagaen.
in tips k istemal se app apne lips ko khubsorat bana skte hain or honton k phattne or khushki se bach skte hain.