Chaiyon ka ilaj in Urdu.
Chaiyon ka ilaj in Urdu.
- Mango or jaman ki gutli ka magaz nikal lain or is ko pees lain. is main thora sa water mila kr is ka laip face pay kren.
- Samander ka jaagh ly kr is main lemon juice mila kr face k siyah daghoon pay lagaen is se daagh khatm ho jaen gay.
- Potato (aaloo) boil kr lain or inko pees lain phir is main namak shamilkr lain or face pay lgaen.
- Haldi or gheehon ka aatta hm wzan mila kr ghae(cow) k fresh or kache dhood main mila kr face pay malne se chehre ki ragat saaf ho jati hai or chaiyan door ho jati hain.
- Chehre ki chaiyon k khatme k lye boiled chukander khaen.
- ziada se ziada water piyen.
- papitay k 1 piece ko anghothe (thumb) se masslain, is main few drops rose water mila lain or is ko hath neche se oper ki janib ly jate howe chiyon pay lagaen. kuch dair baad thande paani se face wash kr lain.or rose water face pay laga lain. is amal ko chand dafa krne se chaiyan door ho jain gi.
- seep 5 tola ly kr in ko pees lain.phir is main 1 tola haldi shamil kren or lemon juice or rose water itna mix kren k 1 paste ban jae. is ko daily raat ko face pay lagaen or 15-20 minutes bad face wash kr lain. kuch din k istimal se chaiyan door ho jaen gi.
Easy Tip
Ingredients
- lemon half
- haldi 1/2 spoon
- baison 2 spoon
Method
In sb ko mila kr paste bana lain or is ka mask face pay lagaen 2, 3 times ye mask lagane se chiyan dor ho jaen gi.